Raatein gayi, baatein gayi, jo bhi hua bhool ja
Ab tu naye pravesh mein duniya nayi phir basa
Suraj naya nikla agar, aasan ho uska safar
Kaatein teri waris jise, woh faaslein bo sakta hain
Aur tujhse kuch ho na ho, yeh tujhse ho sakta hain hain hain hain
Humba leela, humba leelo, humba leele
Tikma chikma chikma tikma chikma chile
Aaj hum hain, kal hum nahi, kal kuch bhi ho sakta hain
Pyar de, pyar le, yeh ek daulat, tu sabko de sakta hain
Aur tujhse kuch ho na ho, yeh tujhse ho sakta hain hain hain hain
Sach keh raha hain bekhabar, kar le mera aitbaar
Yeh zindagi, neemat khuda ki milti hain bas ek baar
Yoon hi ise khona nahin, phir baad mein rona nahin
Saansein teri hain ek ladi, inko piro sakta hain
Aur tujhse kuch ho na ho, yeh tujhse ho sakta hain hain hain hain
Humba leela, humba leelo, humba leele
Tikma chikma chikma tikma chikma chile
Bunglow mein hain, mahelon mein hain, par neend aati nahin
Daulat ka ek saagar mila, par pyaas jaati nahin
Bhukha hain jo, badnaam hain, santosh mein aaram hain
Gar chain ho, dil mein tere, dharti pe so sakta hain
Aur tujhse kuch ho na ho, yeh tujhse ho sakta hain hain hain hain
Humba leela, humba leelo, humba leele
Tikma chikma chikma tikma chikma chile
Yeh aadmi, us aadmi, jaisa nahin hai to kya
Arey kuch karne ki taakat to hain, paisa nahin hain to kya
Jisne kaha, sach hi kaha, yeh waqt ek saa raha
Kismat kahein mehnat se tu, har daag dho sakta hain
Aur tujhse kuch ho na ho, yeh tujhse ho sakta hain hain hain hain
(Humba leela, humba leelo, humba leele
Tikma chikma chikma tikma chikma chile)2
No comments:
Post a Comment