Maul - Kaante

Dil ki dhadkan hai ya goliyon ka shor hai
Faasle ho jaye na nazdeek, a ja mila le dil jala le
Zindagi ko na jane milegi yeh naseeb
Dil me toh chain nahi, rahen nahi, sahen nahi
Yeh sawal toh khaye jaye
Jeena toh maut na jane kab ayega
Kise bulake yeh kise le jayega
Maut, jine ke liye jaruri hai yeh
Maut, kaise ban gayi majburi hai yeh
Maut, lamhe ruk jate jab yeh ati
Maut, sanso ko baho me leke jati
 
Zinda hoke mar gaya, mai marke jinda ho gaya
Dil ki dhadkan me yeh jindagi ka shor hai
Dil manate yeh shak hai abhi
Har sawal jawab ka fijul hai
Yeh khayal toh kar le koyi
Jeena dushwar hai, pyar hai, yar hai
Mardo ko yeh do rahei dikhaye
Jeena toh jina hai, marna hai toh marna hai
jis ka waqt aya hai usiko chal jana hai
Maut, sirf rahe badal jate hai
Maut, naye daur khul jate hai
Maut, lena dena tab pata chalta hai
Maut, kamai ka hajara milta hai
 
Bekhabar hai sawal yeh nishan hai
Mil jaye jo woh hai nasib
Jeena tufani hai, baki sab bayani hai
Jhuth leke jati hai jindagi
Mera bulava hai, yeh jindagi ka dava hai
Mujhe bulaye yeh tujhe bhi bulaye, banke hawa muskuraye
Meri maut, teri maut, isaki usaki sab ki bas
Maut, jine ke liye jaruri hai yeh
Maut, kaise ban gayi majburi hai yeh
Maut, lamhe ruk jate jab yeh ati
Maut, sanso ko baho me leke jati
Maut, sirf rahe badal jate hai
Maut, naye daur khul jate hai
Maut, lena dena tab pata chalta hai
Maut, kamayi ka hajara milta hai
Maut

No comments:

Post a Comment